11:28
0

Biwion Ki Azdawaji Zindagi Mein Adam Dilchaspi

Darasal hamara yaha kadeem hakeemon ki wajha sey yeh bat aam mashoor hai ka mubaashirat (Intercourse) ka baad insan kamzor hojata hai. Aik experiment mein aik insan sey kahay gaya ka uski body sey kuch khoon nikalna hai jissai esko kuch kamzori mahsos hogi. Essai bed pa lita ka drip lagadi gai. Kuch dair baad esko bataya gaya ka khoon nikala ja chukka hai to woh mutawaqa kamzori ki wajha sey baihosh hogaya halankai iss ka jism sey aik drop khoon bhi nahi nikala gayatha. Dusri taraf different experiments sey sabit ho chukka hai ka mubaashirat (Intercourse) sey insan ko kamzori ka bajai tazgi aur sakoon milta hai. (Zakir: Mobeen)

Biwion Ki Azdawaji Zindagi Mein Adam Dilchaspi

28 years old Kashmala mera clinic mein ai. Woh married aur aik bachi ki maa thee. Kashmala nai bataya ka iss ka husband essai jinsi tor per satisfy nahi karpata. Shuru mein to esnai es problem ki taraf zyada dehan nahi diya magar ab woh adam etminan ki wajha sey sakht pareshan thee.
Humarey yahan aksar biwian azdawaji zindagi mein bharpoor dilchaspi nahi laitiin. Aik to mashriki sharam-o-haya jo ab khatam hoti jarahi hai, dusri jinsi adam etminan. Humrey yahan husband wife kay jinsi taqazon sey puri tarhan aagah nahi jiski wajha sey woh wife ko bharpoor jinsi lutf nahi daipatai. Bul kay aksariyat to enko satisfy nahi kar pati. Jiski wajha sey kuch talaq lailaitin hain, kuch ghumrah hojatin hain aur bohut bari ta'adad ghut ka reh jati hai. Jiski wajha sey ghar jahanum ban jata hai.

Kasrat_e_Mubaashirat

Aik shakhs ko electrician banney kay liye 4 years ki training ki zarorat hai magar husband banney kay liye woh koi training hasil nahi karta. jiski wajha sey woh shadi kay taqazon sey puri tarhan aagah nahi hota. Hamarey yahan 90% mard shadi kay lawazmaat sey bai khaber hain. Enhai yeh pata hi nahi kay biwi ko kis tarhan jinsi sukoon aur khushi dainii hai. Jiski wajha sey woh khud to har baar jinsi sukoon hasil karlaita hai magar biwi har bar mahroom rahti hai. Es wajha sey woh ahista ahista sex mein interest kho daiti hai kyun ka jab woh jinsi hijan ka baad orgasm hasil nahi kar pati to shadeed frustration ka shikar hojati hai aur esko normal honay mein kay hours lag jatain hain. Chunkai woh har bar es azab sey guzarti hai isliye woh na sirf sex mein dilchaspi nahi laiti bul kay avoid karti hai. Agar wife ko bhi jinsi sukoon hasil ho to woh sex mein bharpoor shirkat karti hai yeh kamazkam avoid nahi karti hai. Isliye har mard ka liye zarori hai ka woh es hawaley sey zarori knowledge hasil karai. Aurat ko satisfy karna bohut hi asan hai agar apko pata ho ka kaisa? Yeh knowledge daina ka liye ham Lahore aur doosrey cities mein aik seminar arrange kartey hain. Iss mein shirkat karka ap na sirf har bar biwi ko satisfy kar sakaingai bul kay ap essai bharpoor jinsi lutf dai sakaingai. Yeh knowledge individually bhi hasil kari jasakti hai.

Kasrat_e_Mubaashirat (Intercourse) Nuqsandeh Hai?

Awam ki aksariyat ka khayal hai ka mubaashirat (Intercourse) ki ziyadti nuqsan deh hai. Puranai hakeemon ka khayal tha ka insan ko sari zindagi mein aik hi bar mubaashirat (Intercourse) karna chahiya. Yeh phir year mein aik baar (Aik sahib likhtai hain ka year mein 1 bar sey zyada mubaashirat (Intercourse) karna apni qaber khoodna ka baraber hai)

Kasrat_e_Mubaashirat

ya phir aik month mein aik bar aur agar insan bilkul hi control nahi kar sakta to week mein aik bar sey zyada mubaashirat (Intercourse) kisi bhi surat mein nahi karna chahiya kyun ka mani (semen) taqat hai, khoon sey bhi zyada qeemti lihaza iss ka zyada ekhraj sey insan kamzor hojata hai.
Neem hakeemon ka khayal hai ka zyada mubaashirat (Intercourse) karna sey jism ko tarhan tarhan ki beemariyan lag jati hain, jism dhal jata hai. Quwwat kamzor hojati hai. Asab dhelai par jatain hain. Essai pura jism mutasir hota hai. Specially demagh sab sey zyada mutassir hota hai (Americans zyada mubaashirat (Intercourse) karna ka bawajood elm mein sari duniya sey agai hain) iss ka elawa tremors (Resha), paralysis (Falij), Tetnus (Tashanuj), Weak Eyesight, Vertigo (Chakar ana), Backache, Kidney pain, Polyuria (Zyada peeshab ana), Gastric disturbance, Heart beemariyan, Chest beemariyan etc paeda hosaktai hain. Yeh sab kuch ghalat hai. Eski koi haqeeqat nahi. Research sey kuch bhi sabit nahi howa. (Mobeen: Hyde) kiya zyada bolna sey zaban kamzor hojati hai yeh zyada thokna sey insan kamzor hojata hai. Hafiz-ibn-qaim nai farmaya tha ka agar pani na nikala jai to qua khushk hojata hai. Mubaashirat (Intercourse) chahai kitna hi kyun na ho nuqsan deh nahi. Aik din mein 10 times kara jasakta hai. Mera aik client aik din mein 8 times karlaita tha. Aik aur client nai shadi ka pahla 2 years rozana 4 to 5 times mubaashirat (Intercourse) kara aur next ten years mein esna koi nagha nahi kara. Sirf mensis ka doran avoid kara. Mera aik aur naujawan client nai half hour mein 3 times mubaashirat (Intercourse) kara.
Es hawaley sey aik ahem bat yeh hai ka jo log jawani mein zyada mubaashirat (Intercourse) kartey hain woh old age mein jinsi tor per zyada active hotey hain.

Jawani Mein Zyada Fa’aal Zindagi

Agar aik shakhs jawani mein aik month mein aik bar mubaashirat (Intercourse) karaiga to woh shaks old age mein year mein aik bar hi kar sakaiga. Es hawaley sey sada usul yeh hai ka ap jitna mubaashirat (Intercourse) kartain hain etna hi zyada kar sakaingai. Weekly Time January 2004 mein aik research article published howa hai jissai malum hota hai ka woh shaks jo week mein 2 times yeh zyada mubaashirat (Intercourse) kartain hain enki azdawaji zindagi zyada khushgawar hoti hai. Enki general sehat better aur age lambi hoti hai. Heart attack ka ratio mein 50% kami ajati hai. Enki resistance power zyada hojati hai. Dard ko bardasht karna ki ability mein ezafa hojata hai. Active sexual life na sirf depression ko kam karti hai bul kay insan kay kisim ka cancers (aurton mein Breast cancer aur mardon mein prostate cancer) sey bhi mahfooz hojata hai. Waisa maroof researcher Kinsey ka mutabiq America ma mubaashirat (Intercourse) ki average 3.35/per week hai. Iss ka bawajood logon ki general sehat bohut achi aur age taweel hai.

Jawani Mein Zyada Fa'aal Zindagi---Burhapey Mein Mardana Kamzori?

Hamrey yahan buzurg naujawan nasal ko different tareeqon sey mubaashirat (Intercourse) mein miyana rawi ekhtiyar karna ki talqeen kartain hain. Enka khayal hai ka agar jawani mein zyada mubaashirat (Intercourse) kara jai too y ah insan ko kamzor kardaita hai aur jab yeh shaks old age mein dakhil hota hai to eski jinsi salahiyat kam hojati hai aur es mardana kamzori ki wajha sey 50 years ki age ka baad woh mubaashirat (Intercourse) ka qabil nahi rahta. Halankai haqeeqat bilkul ulat hai, Yani 60 years ka baad woh log jinsi tor per active hosaktain hain jo jawani mein zyada active hon.

Mubaashirat Aur Umer

Research sey maloom howa hai ka jawani mein zyada mubaashirat (Intercourse) karna walai afrad 60 years ki age ka baad bhi week mein kamsai kam aik bar mubaashirat (Intercourse) kar laitain hain aur woh afrad jo jawani mein week mein aik bar mubaashirat (Intercourse) kartain hain, woh old age mein monthly aik bar bamushkil mubaashirat (Intercourse) sey lutf andooz hosaktain hain. Lehaza agar ap 60 years ka baad sex sey bharpoor lutf andooz hona chatain hain to apko jawani mein week mein aik bar sey zyada mubaashirat (Intercourse) karna hoga. (Hyde: Master And Johnson)

2 Baar Mubaashirat (Intercourse) Sey 1 Saal Umer Kam Hojati Hai?

Hamid mera aik naujawan marez tha. Jiski hal hi mein shadi hui. 4 months guzarnai ka bawajood woh abhi tak mubaashirat (Intercourse) na kar saka. Shuru mein hamid ko mardana kamzori ka masla tha. Baad mein woh theek hogaya to phir biwi ka maslai ki wajha sey azdawaji taluqat qaim na kar saka. Juhi hamid mubaashirat (Intercourse) ki koshish karta eski biwi ka sara jism akar jata aur eski vagina ka mu bilkul band hojata aur hamid dakhool (penetration) na kar sakta. Aurton ki es beemari ko vaginismus kaha jata hai. Talaq tak ki nobat pohoch gai. Magar hamarai 5 sessions ka baad inka kam hogaya. Uski biwi yahi lafz estimal karti hai. Aik session mein hamid nai mujh sey puch ka ab 2 bar mubaashirat (Intercourse) karna sey insan ki age 1 year kam hojati hai. Maina pucha ka tumko kisna bataya. Es na kaha ka iss ka walid na esko musalsal 2 bar mubaashirat (Intercourse) karna sey mana kara hai kyun ka essai age kam hojati hai. Yeh bhi aik namaqul maqroza hai.

Jinsi Jazbaat Aur Jinsi Quwwat

Jiski koi scientific koi haqeeqat nahi. Aksar naujawan shadi ka initial months mein aik rat mein 3 to 4 times mubaashirat (Intercourse) kar laitain hain jis sey kisi tarhan ka koi nuqsan nahi hota. (Mobeen: Hyde)
Mubaashirat (Intercourse) Jitni Kam, Umer Utni Zyada?
Hamarey yaha aik dilichasp misconception hai ka husband wife jitna kam mubaashirat (Intercourse) karaingai enki age utni hi lambi hogi. Doosrey alfaz mein mubaashirat (Intercourse) jitna zyada hoga ages utni hi kam hojaingi. Hamara yaha zyada tar essi usul per amal kara jata hai aur mubaashirat (Intercourse) sey parhaiz karka age ko zyada karna ki koshish kari jati hai. Phir bhi hamara yaha average age 56 sey agai nahi bharti hai. Dusri taraf developed countries mein hamara muqabley mein bohut zyada mubaashirat (Intercourse) hota hai magar waha per average age 70 years sey zyada hai. West mein es mozo per bohut research ho chuki hai. Jis sey yeh dilchasp haqeeqat samnai ai hai ka woh log jo kam mubaashirat (Intercourse) kartey hai enki age enlogon sey kam hai jo zyada mubaashirat (Intercourse) kartey hain. (Time)

60 Saal Kay Baad Jinsi Jazbaat Aur Jinsi Quwwat Khatam Hojati Hai?

Doosrey bohut sey mafrozon ki tarhan yeh bhi aik nehayat ghalat aur ahmaqana mafroza hai jiski koi haqeeqat nahi. Age bharna ka sath sath insan ki jinsi amal mein kuch tabdeliyan ajati hain. Taham agar insan ki general sehat theek hai to woh martai dam tak mubaashirat (Intercourse) ka qabil hota hai. Famous actor Charlie Chapran 80 years ki age mein aik week mein 3 yeh 4 bar mubaashirat (Intercourse) sey luft andooz hota tha.
Jinsi Jazbaat Aur Jinsi Quwwat
Hite ki report sey bhi yeh bat samnai ai hai ka baaz 80 years ka mard aik week mein 4 to 5 times mubaashirat (Intercourse) kar laitain hain. Aik aur survey sey malum howa hai ka 37% old age Americans week mein 1 bar mubaashirat (Intercourse) zaror kartain hain. Baaz mard 60 years ki age ka baad aik din mein 2 bar bhi mubaashirat (Intercourse) karlaitain hain. Aik sey zyada researches sey yeh bat samnai ai hai ka aam log old age mein sex sey zyada lutf andooz hotain hain. (Hyde) albatta bhurapai mein tanau (erection) zara dair sey hota hai. Naujawan aadmi 3 to 5 sec mein tanau (erection) hasil karlaita hai. Jabka 50 years ki age mein tanau (erection) ka liye dugna time aur 70 years ki age mein 3 guna time chahiya. Baaz auqat biwi ko husband ka penis ko stimulate karna parta hai. Tanau (erection) bhi jawani ki nisbat kam hota hai magar insan dakhool (penetration) ka qabil hota hai. Achi bat yeh hai ka insan ko inzaal (ejaculation) per nisbatan zyada control hota hai. Baz auqat inzaal (ejaculation) hota hi nahi. Yeh sab kuch normal hai. Es tarhan aurton ka vagina mein secretion zara dair sey ati hain jo ka jawani mein jald ajatin hain.
Old age mein mardon aur aurton ka jinsi hormones ki miqdaar 30 years ki age ka muqabilai mein kam hojati hai. Jinsi hormone ki kami ki wajha sey insan ki jinsi khuaish aur tanau (erection) mein qadrai kami hojati hai. Magar yeh hormone kabhi khatam nahi hotey aur insan martai dam tak mubaashirat (Intercourse) aur bachai paeda karna ka qabil hota hai. (Hyde) albatta 5% mardon kay jinsi hormone testosterone ki kami zara zyada hojati hai jiski wajha sey enhai tanau (erection) nahi hota.

Burhapa Aur Jinsi Zindagi

Yeh kami testosterone laikar puri kari jasakti hai. Magar es hormone ka baghair kami ka laina nuqsan deh hota hai. Aik recent research ka mutabiq 80% sey zyada age ka healthy afrad mein 65% mard aur 30% aurtein jinsi tor per active hai. (Hyde)

Kiya Boorhon Ko Sex Ki Zaroorat Nahi?

Meray aik sathi mahir-e-nafsiyat Syed Sabir Hussain nai apna aik case mera sath discuss kara. Barai miyan shadeed tanhai aur depression ka shikar thai. Nafsiyati elaj ka doran maloom howa ka enki biwi bhi hayat hain aur essi ghar mein mojood hain magar dono alag alag rooms mein sotain hain aur dono tanhai ka shikar hai. Hamra yaha batqismati sey samjha jata hai ka old age parents ko sex ki zarorat nahi. Jiski wajha sey en becharon ko mubaashirat (Intercourse) ka liye tanhai nahi milti. Awal to dono ko alag rooms mein sona parta hai yeh phir maa aik son ka pas rahti hai aur father doosrey son ka pas. Estarhan dono na sirf jinsi luft sey mahroom rahtain hain bul kay shadeed tanhai ka shikar hoka waqt sey pahla hi moot ki wadi mein gum hojatain hain. Bohut si researches sey yeh bat sabit hochuki hai ka old age logon ko bhi aam jawano ki tarhan sex ki zarorat hai. Kyun ka bharpoor jinsi zindagi sey na sirif sehat behter hoti hai bul kay age mein bhi ezafa hota hai. Iss ka elawa mardon mein arthritis, prostate aur heart attack ka Masa'el bhi kam hojatain hain. Lehaza zehni sukoon, achi sehat aur lambi umer kay liye old age logon ko week mein aik bar zaror mubaashirat (Intercourse) sey luft andooz hona chahiya.

0 comments:

Post a Comment