09:44
0

Too Much Porn And Masturbation And Physical Effects In Hindi and Urdu

Too Much Porn And Masturbation And Physical Effects In Hindi and Urdu

Is article kay zarya main excessive porn watching aur masturbation ka physical aur emotional and psychiatric effects discuss karna chahta hon.
 
 Aaj kal technology ki taraqqi ki wajah say jahaan bohat say faida hoya hain, wahin iska bohat say nuqsaanat bhi hoa hain. Pornographic material is just a mouse click away.Ham sab janta hain kay excessive porn watching aur masturbation achi cheez nahin hai, phir bhi kya wajah ha ke hum log sab kuch jaante hoa bhi  apni in habits ko chorna main aksar auqat nakaam rahta hain. Excessive porn watching aur masturbation par control karna kiyon itna mushkil hai, main iski medical reasons bhi is article main discuss karon ga.
This article would involve 2 parts. Part 1 mai porn viewing aur masturbation kay medical point of view sa jo nuqsanaat hain unko discuss kiya jaye gaa. Iska saath saath main in habits kay emotional aur psychiatric effects ko bhi discuss karon ga. Part 2 mai in habits ko chorna ka liya kuch treatment strategies discuss ki jain gi.
 
Is article ko likhna kay peechay  driving force  aaisa latadaad logon ki parashanian hain jo in aadaton main involved hain aur jinhain  insay nijaat paanay ka koi raasta nazar nahin aata.Is article mai Pahlay main in habits kay physical effects discuss karon ga, and then the psychiatric and emotional effects.
 

Lets get started.

 
Physical effects of excessive porn watching and masturbation:

 Physical Effects on males:

Porn watching aur uska nateeja main repeatedly masturbation karna say semen volume mai kami ho sakti hai. Magar yeh kami temporary hoti hai ( lasting 1-2 days), long lasting nahin. Iski misaal yoon samajh lain kay even though  semen production body mai mustaqil hoti rahti hai, magar is process main thora time lagta hai. Agar repeatedly masturbation ki jai to woh sara semen jo body ami  mojood hai who discharge ho jai gaa aur new semen ki  full production main 1-2 days lag sakta hain ( that is the reason behind progressively lower  semen volume with repeated masturbation).
 
 Yeh cheez unn married  males kay liya thori concerning hai jin kay sperm count already thora low hota hai. Agar woh is period kay doraan jis main unhoon na apna saara semen masturbation ka zarya discharge kar dia hai, agar woh apni wife kay saath sex karain gay to low semen volume ( and because of that low sperm count) ki wajah say woh  apni wife ko pregnant karna kay chances kam kar dainga ( even though it would be temporary).
 
Excessive porn watching aur masturbation kuch males main shadi kay baad intercourse main difficulties bhi paida kar sakti hai. Iski reason yeh hai kay excessive masturbation ki wajah say unka penis aik khaas tarah ( with hands) say stimulate hona ka aadi ho jaata hai, aur jab actual intercourse karna ka time aata hai ( in which there is a different type of stimulation),  to erection maintain karnay main difficulty hoti hai.
 
Repeated masturbation ki wajah sa extreme cases main penis ki skin aur underlying tissues thora damage ho sakta hain. Kabhi kabhar iski wajah saa Peyronie's Disease ho jaati hai jis main  penis ki side par hard areas ban jaata hain aur erection kay waqt penis straight nahin rahta. This may cause difficulty in intercourse.
 

Physical Effects on females:

 

Female masturbation 2 tarah ki hoti hai. External aur internal.

 
 External masturbation mai clitoris ko stimulate kiya jaata hai. Kuch girls/women masturbation karta hoa apnay nipples ko stimulate karti hain jis ki wajah say aik hormone Oxytocin release hota hai. Oxytocin ka main function ( among other things) uterus ki contractions karna hota hai. Isliya aksar females ko masturbation karta hoa lower abdomen mai contractions feel hoti hain. Agar female non pregnant hai to koi khas nuqsan nahin hota. However, agar pregnant females aisa karain to uterus ki contractions ki wajah say premature labor start ho sakti hai ( waqt say pehla labor pains ho jaana).
 
 
Internal masturbation mai females apni vagina mai koi cheez insert kar kay sexual stimulation haasil karti hain. This is a dangerous activity. Aisa karna kay kai nuqsanaat hain. Most importantly, aisa karna say infection ka risk hota hai. Agar infection ka sahih treatment nah kiya jai to it can lead to Pelvic Inflammatory Disease or PID. Is disease main women kay reproductive organs main infection aur inflammation ( sozish) ho jaati hai, aur adhesions create ho jaati hain ( reproductive organs aapas main chipak jaata hain). This can lead to infertility ( bacha paida karna ki ability looseho jaati hai) in the future. Iska aik aur major risk yeh hai ka jo object vagina main insert ki gai hai, who vaginal wall ko tear ya rupture kar sakti ha, which would be a surgical emergency. Aisaa  cases bhi hoya hain kay object under jaa kay break ho gai aur phir emergency  surgery kay zarya usa nikala jaata hai. Aisa karna say hymen bhi rupture ho jaati hai, jo shadi kay waqt obvious problems create kar sakti hai.
 
 

Psychiatric and emotional aspects of excessive porn watching and masturbation:

 

Psychiatric and emotional Effects on males:

Majority of males yeh samajhta hain kay pornographic movies mai jo kuch dikhaya jaata hai who sab real hota hai, for example male actor jo in movies mai half an hour tak sex kar sakta hai.Woh yeh nahin daikhta kay in movies main jo sex ka scenes dikhaia jaata hain who mukhtalif auqat main ki gai sexual activity ko editing kay zarya aik saath combine kar kay dikhai jaata hain, taka yeh taasur create ho kay male actor itni zyada duration tak sex kar raha hai. Phir jab yeh males apni performance ko in movies ma dikhai jaana wali performance say compare karta hain to apna ander feelings of inferiority create karta hain. Masturbation karna ka baad thori dair jo thakawat aur exhaustion feel hoti hai( which is entirely normal) usko yeh log misinterpret kar kay yeh samajhta hain kay who sexual activity ka qabil nahin aur khod ko sexually unfit samajhna lagta hain.
 
Isi tarah jo log sirf in movies ko daikh kar masturbate karta hain, un mai aksar aik psychiatric condition develop ho jaati hai jisko Voyeurism kahta hain. Is condition main sexual stimulation sirf doosron ko sexual activity karta hoa daikhna sa hoti hai, aur shadi ka baad wife say intercourse kay waqt problem hoti hai.
 

Psychiatric and emotional Effects on females:

 
Females mai bhi excessive porn watching kay kai psychiatric aur emotional nuqsaanat hain.  Aksar females in films ko daikh kar yeh samajhti hain kay in movies ma jo kuch dikhaya jaata hai who normal hota hai ( woh yeh nahin sochtin kay in movies mai jo sexual acts dikhai jaata hain un mai editing ka zarya yeh effect create kiya jaata hai kay sexual intercourse lasts for half an hour or so). In unrealistic expectations kay saath jab yeh women apnay husbands say intercourse karti hain to full satisfaction nahin hasil kar patin aur disappointed hoti hain, leading to conflicts and sometimes even fights with their husbands aur apni married life ko kharab kati hain.
 
Isi tarah jab yeh females apni physical appearance ko in porn actresses ki appearance say compare karti hain( jin mai majority nay apnay "assets" ko surgically improve kiya hota hai), to in females main feelings of inferiority ( aihsas kamtari) create hota hai, jis ki wajah say bila wajah ghussa ana aur jhunjhlahat kay ahsaas hota hai.
 
Unmarried females jab aisi movies daikhti hain to sexually frustrated ho kar excessive masturbatiuon ki taraf chali jaati haan, ya phir premarital sex kar laiti hain.
 

Psychiatric and emotional effects common to both  males and females:

 
Hum sab yeh baat janta hain kay pronographic vewing aur masturbation achi aadatain nahin hain. Hamain bachpan say hi pata hota hai ka  in cheezon say door rahna chahya. Magar, jab ham koshish ka bawajood in bad habits say bach nahin paata to hamara ander feelings of guilt develop hoti hain. Is guilt ki wajah say hum khod ko doosron say inferior samajhna lagta hain. Apna ooper lack of control ki feelings develop hoti hain jin ki wajah say hum khod ko bay bus samajhna lagta hain.
 
 Yeh feelings aur guilt jub zyada strong ho jain to depression aur anxiety create karti haan. Hum apna aap ko itna helpless feel karna lagta hain kay humain apnay ooper confidence nahin rahta, which leads to further anxiety and depression. Is depression ki wajah say aur bohat si negative cheezain create ho jaati hain, jaisa lack of energy, feeling tired, feelings of  hopelessness  about the future,  and difficulty concentrating resulting on studies getting effected or job performance getting effected.
 
 Aksar log jo unmarried hain woh in feelings ki wajah say shadi kay naam say ghabraata hain, aur jo married hain who apna spouses say emotionally aur physically door ho jaata hain. The list goes on and on.
 

Why masturbation is so habit forming:

 
Jub hum yeh baat achi tarah sa jaanta hain kay porn viewing aur masturbation kharab baatain hain, to hum kiyon in aadaton ko chorna mai mushkil feel karta hain. Iska jawab hai brain mai mojood aik chemical jisa Dopamine kehta hain. Jab hum masturbation karta hain to brain mai yeh chemical dopamine  release hota hai. Dopamine ka main function pleasurable feelings create karna hota hai. Isi liya masturbation karta waqt hamain lustful aur pleasurable thoughts aur feelings develop hoti hain. However, dopamine ka aik aur function yeh hota hai kay yeh habit forming bhi hota hai ( jin activities say dopamine release hota hai who activities bohat jald habit ban jaati han), aur phir in habits ko break karna mushkil ho jaata hai. Dopamine release ki aik aur example cigarette smoking hai. Cigarette smoking say bhi brain may yehi chemical Dopamine release hota hai ( isi wajah say cigarette smoking tark karna bohat mushkil hota hai).Kiyonkeh masturbation say bhee dopamine release hota hai isi wajah say masturbation ki habit ko break karna bhee kaafi mushkil hota hai ( even though hum jaanta hain ka yeh bad habit hai).

0 comments:

Post a Comment