06:46
0
Sex aik aisa topic hai jis ko hum me se kaheen apnay children k saath discuss kernay se avoid kertay hen aur ye soochtay hen k ye needless hai because es se children ki attention aisay topic k teruf attract hooti hai.sirf word sex ko children k aagay mention kernna un parents ko inappropriate lagtaa hai jo ye soochtay hen k un k children ne ye word bhi pelhay kabhi nahi soona.laikin ye expectations necessarily tru nahi hen.sex ko learn kernna humaray children ki need hai bilkul es tara jaisay lives me koi aur cheez learn kernna un ki zuroorat hai.

Teaching Our Children Sex Education

Who Teaches Them Matters 

 Sex aik important topic hai jo k hum sub ko apnay young people se discuss kernna chahiay so that hum un ko ye yaqeen dilaa sakain k un ko apni future lives me disinformed ya confuse nahi hoona.ager hum aik non-islamic community me rahtay hoon aur wahaan k peoples k views Islamic views se different hoon tu humaray children ko sex right sex education dainna aur bhi zayada zuroori ho jaata hai.

However,sex education me two married persons k simple relationship k ilawa kaheen doseri cheezain ah jaati hen.ye dono baatain aik doseray se differ kerti hen k
children ko sex k baray me life ki early stages me kiya learn kernna chahiay aur older life stages me kiya learn kernna chahiay.young children bahot zayada curious hootay hen aur jab un ko koi reasonable answer nahi milta apnay parents se tu wo sub explore kernna chahtay hen.wo doseray alternatives ko dekhtay hen.parents ko ye nahi soochnna chahiay k un k children k approach un discoveries tak abhi hai hi nahi,because ager aap children ko es baat se control ker saktay hen k wo indoors kiya dekhtay,soontay aur kahtay hen,ye impossible hai k aap un ko control ker sakain jo kuch wo outdoors get kertay hen.outside children different doseray children se miltay hen jin ka culture aur background different hoota hai.ye children aik doseray se wo sub share kertay hen jo parents un se soonna aam torr per pasand nahi kertay.aur parents ye soochtay rahtay hen k children me in topics ko discuss kernna kitna messy hai.

Es liay parents ko children ko un se concerning (chahay wo sex topic ho ya phir koi bhi aur topic ho) sub dubious information ya insistent questions sikhaanay chahiyain.ager children ko ye feel keraya jaye k hum her waqt un k her sawaal ka answer dainay k liay wahaan han tu bachoon k mind me phir koi bhi es topic se related koi question aye tu wo parents se without hesitation poochtay hen.

But parents ki life me bahot saray burden face kernnay k saath un k pass itnna time nahi hoota k wo children k her question ka reply kerain.so parents ko promise kernna chahiay k wo un se phir baat kerain gay jab un k pass zayada time ho ga.es tara children ko alternatives ko dekhnay ki aur follow kernnay ki zuroorat nahi aati wo parents se correct aur healthy sex education learn kertay hen.es tara children peers,siblings aur friends ki misinformation se expose nahi hootay.

Ye yaad rukhna bhi helpful ho ga k sex education ko younger ages me forbidden nahi kiya gaya.Hazrat Muhammad (peace and blessing be upon him) k Companions jin me women bhi thien wo Aap se sex k baray me information lainay me hesitation feel nahi kertien thien.for example Prophet ne un ko gaze ko lower kernna sikhaaya.

Jab aik young muslim ne ye poocha k Ya Rasool Allah kiya main forbidden love affair rukh sakta hoon tu prophet ne softly reply kiya kiya tu ye pasand keroo gay k tumhari sister,mother,aunt adultery commit keray.admi ye admit kertay huay kahaa k main ye kisi soorat accept nahi keroon ga.prophet ne explain kiya k people bhi ye pasand nahi kertay k un ki sister,mother ya aunt adultery commit kerain.prophet ki guidance se hum ye baat note ker saktay hen k children aur teens ko legal answer provide kernna kitnna important hai.

Early Discovery 

 Early years me children aam torr per apni bodies k baray me janna chahtay hen.es se pelhay k wo booln start kerain wo apnay hands ko use ker k apnay mouths,ears,noses ur private parts ko discover kertay hen.ye parents ki aqal mandi hai k wo un ki attention ko kisi aur interesting thing ki teruf attract ker k.un ki early curiosty ko control kerain.in early discoveries ko limit kernnay k liay un ko long hours undressed mat choorain.jab wo grow ker jayain aur talking start ker dain,parents ko simply ye sikhaana chahiay k private parts ko touch kernna good idea nahi hai.

Boys aur girls ye baat dscover kernnay me bhi curious hootay hen k un k bodies opposite sex se different kuin nazer aati hen.yahaan ye aap ko confirm hoona chahiay k ginggling aur laughing in questions ka answer nahi hai.parents ko simply ye baatana chahiay k boys aur girls k private parts es liay different hen jaisay un k hairs,faces,muscles aur doseray body parts different nazer aatay hen.un ko ye bhi baatana chahiay k boys aur girls k different attitudes hootay hen aur un ko apni gender per proud kernna chahiay.                  

Responding to Questions

 Jab children grow up kertay hen tu un k questions zayada mature ho jaatay hen aur parents k replies ka un ki lives per bara effect hoota hai.zayada terr parents ko children k questions se hi paata chalta hai k children ko kiya aur kitni sex education es stage per milni chahiay aur parents ko kitna uss me se un k liay  filter aur correct kernnay ki zuroorat hai.

 Sex education k liay koi particular age nahi hai,jab teach kernnay ka time ho tu children k her question ko welcome kernna chahiay takay ager phir koi question ho tu children parents ki teruf hi rush kerain.yet,kuch children parents se aisay topics share kernna inappropriate sumajhtay hen.but regular questions like "what u done today?" parents aur children me great conversation start ker daitay hen.especially ager children ko ye realize keraya jaye k un k parents good listeners hen.aisi conversations children ko baat kernnay per encourage kerti aur un ko parents ko koi bhi misinformation ko correct kernnay k qabil bunnati hen jo children bahir se get kertay hen.

Where Babies Come From 

 Aik question jo children humesha poochtay hen wo ye hai k babies kahaan se aatay hen?un ko silly reply mat kerain k parents un ko market se buy kertay hen balky un ko simply baata dain that ye Allah sirf married couples ko daitay hen aur unmarried women ko nahi daitay takay children ko ye sub understand kerna ahsaan lagay.

Ye wo hai jo children ko early age me jaanna chahiay but jab children zayda baray ho jayain aur details per focus kernay lagain aur un k questions ye ho jayain k moms pregnant kaisay hooti hen?

Es question ka answer baki kaheen questions ki tra easy ho ga ager parents ye sumjhain k un k child ko es age me kiya paatta hoona chahiay auir kiya nahi.children ko ye feel kerayain k parents se ye discussion kernna wrong nahi hai.es discussion me parents children ko sex k baray me right Islamic views bhi baata saktay hen.parnt ko ye baat clear kernni chahiay k Allah ne her animal aur insaan ko different needs aur desires k saath create kiya hai un me se aik sexual desire bhi hai.children ko ye batayain k insaan aur animal ko es baat se distinguish kiya ja sakta hai k insaan apni sexual desire ko control keray.

Children ko ye baaat bhi sikhayain k un ka faith jitna strong ho ga utna hi wo zayada apni needs aur desires ko control ker sakain gay.un ko ye explain kerain k sex life ka aik normal part hai aur ye marriage k bahd Allah ki blessing k torr per start hoti hai.

 Jab ye feel ho k children mature ho gaye hen aur wo sub sumajhtay aur her information ko soontay hen tu un ko sub kuch clearly explain kerain.es stage per un ko jitna explain kiya jaye ga utnna hi un ko misinformation aur confusion se protect kiya ja sakay ga.

But ager parents ye feel kertay hen k un k children abhi bahot young hen ye sub jannay k liay tu un ki sirf misinformation ko correct kerain zayada detail me mat jayain.un ko ye bhi batayain k parents k ilawa kisi doseray insaan like peers ko in issues per baat kertay huay soonna aur un se ye sub discuss kernna sahi nahi hai.

 But future questions k liay door open rukhain aur un ko batayain k abhi es topic per baat kernay k liay bahot kuch hai jab bhi aap k mind me koi question aye ya phir kisi se kuch es topic per soonain tu parents se hesitation k binna poochain aur discuss kerain.

Children ko sex education dainna koi kaheen parents aur grandparents k liay koi itna bara issue nahi hoota bus p[arents ko aik baat mind me rukhni chahiay k time change ho gaya hai aur children ki needs bhi time k saath change ho rahi hen.zuroori nahi jo sub humari es age me aur humaray waqt me work kerta thaw o humaray children k waqt work keray.

0 comments:

Post a Comment