Dimag Or Jism Ki Taqat Ke Liye Nuskha In Hindi and Urdu
- Akhroot : - 50gm ( Chily huye )
- Badaam : - 50gm
- Pista : - 50gm ( Chily Huye )
- Kaju : - 50 gm
- Chaar Magaz : - 10 Rupees
- Kas Kas : - 250 gm
- Dhaniye ka Magaz : - 10 Rupees
- Chuaary : - 250gm
- Khopra ( Sabit ) : - 125 gm
- Pure Honey : - 500 gm
Tareeka: -
Akhroot, Badaam, Pista pr kaju k baareek baareek Tukry kar lain
Chaar Magaz ko Grander Machine me Peeeccc lain
Kas Kas ko b Grander Machine me Peeeccc lain
Dhaniye ka Magaz b Grander machine me Peeeccc lain
Chuaary or Khopra k Choty chotu tukry kar k 1 ghanty tak dhoop me sukhany k liye rakh dain phir unhy b Grander Machine me Peeeccc lain.
Phir ek ek kar k saari cheezain mix kar lain mix karny k bad kisi ek daby me 500gm Pure honey daalain or aashita aahista saara mixer honey me mix kar lain.
Tareeka Istamal: -
2 se 3 chamach rozanna raat ko Dinner k 2 ghanty baad ek glass garam doodh me Mila kar piyain.
Note : - ye nuskha khas Winter Season k liye h agr Summer season me b istmal karna h to Honey ka istamal na karain or ek chamach khayain q k Dhaniye ka Magaz or Chuaary b garam h.
or ek baat is ka istmal rooz karain ek din ka b gap na rkhain
0 comments:
Post a Comment